Sunday, July 31, 2011

Kaisi hai yeh Zindagi!!!

Meri zindagi hi mujhse pareshan hai,

Kaise zinda hoon main yeh soch soch wo hairaan hai,

Sach to yeh hai ki andhere mein rakha tha use,

Tabhi aj wo ujaale dekh k kehti ke yeh chamatkar hai,

Sab se bachaya door rakha, aur aj dil ki duniya veeran hai,

Sochta hoon pani mein duba doon, gira doon unchaiyon se,

Par toot ke bikhar na jaye, is darr se main chup chap hoon.

Phoolon se khush hai, hawaon se khush hai,

Par dil mein dard hai, aur yeh chup hai.

Kabhi sannate se b zada shant, to kabhi shor se zada awaaz,

Bas aisi hi hai yeh zindagi,

Kaise samjhaun khud ko, ke kaisi hai yeh zindagi,

Jo door ho wohi accha lagta hai, jo paas aaye koi to kaccha lagta hai,

Na mil sake uski ik jhalak ko pareshan hai,

Mil jaye wo ise lagta asaan hai,

Badi ummeedein bade sapnay, sab kuch chahiye,

Par paa ke bhi na mile sukoon, fir aur aagey jaye ye,

Jo kahin na ruke, kabhi na thame, bas yehi to zindagi, Fir mujhse hi kyu pareshan si hai ye zindagi, Sach se kyu anjaan si hai yeh zindagi.

Zindagi ki Kahani...

Koi khamosh raha koi sukoon mein tha,

Koi mast to koi pareshan rha,

Koi haasil kiya koi chook gaya, sab ki alag thi zindagani,

Koi marta raha koi ji gaya, koi paya koi lutaya,

Koi chain mein sulaya to koi neendein hi cheen gaya,

Koi dard mein koi khushi mein jiya, koi muskuraya koi roya,

Koi aansu to koi khoon b piya,

Koi bin chhat raha to koi mahalon mein chadar taan ke soya.

Koi dauda koi gira, koi pahuncha manzil pe to koi bhatakta fira.

Koi chalta raha koi do kadam mein haar gaya,

Jeeta wohi jo dariya paar gaya.

Loota to sabne, par jisne dil toda usi pe dil har gaya.

Kash-ma-kash...

Zindagi kab kya dikha de kuch keh nai sakte,

honth hain khamosh kuch keh nai sakte,

Udte hai yeh parinde hawa mein,

yeh zameen par kyu reh nai sakte,

abhi kaafi udan hai inke pankhon mein,

inke kadam zameen par tik nai sakte.

Kehne ko hai bahut kuch par kahein kya,

kuch keh nai sakte,

dard itna hai dil mein, ke bina roye isko seh nahi sakte,

par aansu gire hain itne, ab aur yeh beh nai sakte,

kisko bolein kise sunaye ab chup b to reh nai sakte,

karna chahein bi, par majbur itne hain ki kuch kar nai sakte,

Ab lagta hai, aise to ye sapno ke mahal deh nai sakte…

Saturday, July 30, 2011

Haar ka Uphaar!!!

Haar se bura kya manoo main,

ke jo kuch mila wo kya kum tha.

Just another Bond!!!

I go on,

Life goes on with me,

I m happy with life,

Life's happy with me!

Confesses an Egotist!!!

When I was busy constructing my life,

I missed relations, skipped friends...

It's the consequence I am happy for being so sad,

Missing most-precious called people.

Missing them all!

Madness to Happiness!!!

Life is too small to keep those precious moments empty,

don't let them get wasted on grieves n sadness,

Enjoy it to its madness,

Maintain a balance n leave no stone unturned,

Explore whole world n

find where's your happiness.