Itna aasan na tha mushkilon se guzarna,
guzarte guzarte wo b guzar gayeen,
itna aasan na tha insaan ko samjhna,
samjhate samjhate umra guzar gayee,
tera intezar itna lamba kiya,
ki taakte taakte har shaam guzar gayi,
muflisi ne kuch yun thamaya kaamyabi ka hath,
ki sanvrte sanvrte zindagi sanwar gayee,
isse zada kya saath deti khushnaseebi humara,
bigadte bigadte wo hi sudhar gayee.

No comments:
Post a Comment