Meri zindagi hi mujhse pareshan hai,
Kaise zinda hoon main yeh soch soch wo hairaan hai,
Sach to yeh hai ki andhere mein rakha tha use,
Tabhi aj wo ujaale dekh k kehti ke yeh chamatkar hai,
Sab se bachaya door rakha, aur aj dil ki duniya veeran hai,
Sochta hoon pani mein duba doon, gira doon unchaiyon se,
Par toot ke bikhar na jaye, is darr se main chup chap hoon.
Phoolon se khush hai, hawaon se khush hai,
Par dil mein dard hai, aur yeh chup hai.
Kabhi sannate se b zada shant, to kabhi shor se zada awaaz,
Bas aisi hi hai yeh zindagi,
Kaise samjhaun khud ko, ke kaisi hai yeh zindagi,
Jo door ho wohi accha lagta hai, jo paas aaye koi to kaccha lagta hai,
Na mil sake uski ik jhalak ko pareshan hai,
Mil jaye wo ise lagta asaan hai,
Badi ummeedein bade sapnay, sab kuch chahiye,
Par paa ke bhi na mile sukoon, fir aur aagey jaye ye,
Jo kahin na ruke, kabhi na thame, bas yehi to zindagi, Fir mujhse hi kyu pareshan si hai ye zindagi, Sach se kyu anjaan si hai yeh zindagi.